Some important meanings :
Hala/madhu = drink (wine ), Pyaala = glass, saki = waiter , pathik = traveller
dono rehte saath na jab tak, mandir-masjid main jate,
bair badhate mandir-masjid, mel karati madhushala
haathon me aane se pahle naaz dikhaayegi pyaalaa,
adharon par aane se pahle adaa dikhaayegi haalaa,
bahutere inkaar karega saaki aane se pahle;
pathik, na ghabraa jaanaa, pahle maan karegi madhushla
madiraalaya me kab se baitha, pi na sakaa ab tak haalaa,
yatna sahit bhartaa hun, koi kintu ulat detaa pyaalaa,
manav-bal ke aage nirbal bhaagya, suna vidyaalaya me,
'bhaagya prabal, manav nirbal' ka paat padhaati madhushala
Hala/madhu = drink (wine ), Pyaala = glass, saki = waiter , pathik = traveller
Musalman aur hindu hai do, ek magar unka pyala,ek magar unka madiralay,ek magar unki hala!
dono rehte saath na jab tak, mandir-masjid main jate,
bair badhate mandir-masjid, mel karati madhushala
madiralay meiN jaane ko ghar se chaltaa hai peenewaala
kis path se jaaooN asmanjas meiN hai wo bhola bhaala
alag alag patha batalaathi sab paR maiN ye batalata hooN
raah pakad tu ek chalaa-chal paa jaayega madhushaala
ek baras meiN ek baar hee jagti holi kee jwaala
ek baar hee lagti baaji jalti deepoN kee maala
duniya waaloN kintu kisi din aa madiraalay meiN dekho
din ko holi raat diwaali roz manaati madhushaala
apne yug me sabko anupam gyaat hui apni haalaa,
apne yug me sabko adbhut gyaat hua apnaa pyaalaa,
phir bhi wridhon se jab puchaa ek yahi uttar paayaa -
ab na rahe wah peenewale, ab na rahi wah madhushala
yam aayega saaqi bankar saath liye kaali haala peena hosh meiN phir aayega sura wisudh yeh matwaala yeh antim behoshi antim saaqi antim pyaala hai pathiK pyaar se peena isko fir na milegee madhushaala
naam agar pooche koi to kehna bas peene-waala
kaam dhaalna aur dhaalna sab ke madiroN ka pyaala
jaati priYe pooche yadi koi keh dena deewanoN kee
dharM batana pyaaloN ki le maala japna madhushaala
aur chitha par jaaye unDela paatR na ghRith ka par pyaala
GhanT bandhe angoor latha meiN madhya na jal ho par haala
praan-priye yadi SHraadH karO tum mera to aise karna
peene-waaloN ko bulwa kar khulwa dena madhushaala
choTe se jeewaN meiN kitna pyaar karooN peelooN haala
aane ke hee saath jagat meiN kehlaaya jaane-waala
swaagat ke hee saath hi wida ki hothi dekhi tayyaari
band lagi hone khulte hee meri jeewan madhushaala
laalayeet adhRoN se jisne haaye nahiN choomi haala
harshit kampit kar se jisne haay madhu ka chooaa pyaala
haath pakaD kar lajjit saaqi ko paas nahiN jisne kheencha
wyarth sukha Daali jeewan kee usne mahdumay madhushaala